jo kuchh bhi hai nazar mein so wahm-e-numud hai
aalam tamam ek tilism-e-wajud hai
aaraish-e-numud se bazm-e-jumud hai
meri jabin-e-shauq dalil-e-sujud hai
hasti ka raaz kya hai gham-e-hast-o-bud hai
aalam tamam dam-e-rusum-o-quyud hai
aks-e-jamal-e-yar se wahm-e-numud hai
warna wajud-e-KHalq bhi KHud be-wajud hai
ab kushtagan-e-shauq ko kuchh bhi na chahiye
farsh-e-zamin hai saya-e-charKH-e-kabud hai
hangama-e-bahaar ki allah re shoKHiyan
zagh-o-zaghan ka shor bhi saut-o-surud hai
Ghazal
Jo kuchh bhi hai nazar mein so wahm-e-numud hai
Farhat Kanpuri