jo KHwab mere nahin the main un ko dekhta tha
isi liye aankh khul gai thi isi liye dil dukha hua tha
udasiyon se bhari hui iltija suni thi
kisi nagar mein koi kisi ko pukarta tha
wo ek sada thi ki haft-alam mein gunjti thi
na-jaane kaise koi kisi se bichhaD gaya tha
ajib hairat bikherte the wo dastan-go
ki shab ne jaane se saf inkar kar diya tha
guzishtagan ko bhi ye gila tha suna hai main ne
suna hai un ko bhi ism-e-azam nahin mila tha
faza sunahri thi rang phaila tha chaar jaanib
ki chand se wo zamin pe jaise utar raha tha
safar ke aaKHir pe shamen raushan si ho gai thin
koi masarrat ki sab hadon se guzar gaya tha
Ghazal
Jo KHwab mere nahin the main un ko dekhta tha
Sabir Waseem