jo KHum par KHum chhalkate hain honTon ki thakan kya samjhenge
phulon mein guzarti hai jin ki kanTon ki chubhan kya samjhenge
patthar ke pujari aankhon ki gahrai ko pana kya jaanen
qismat pe yaqin rakhne wale mathe ki shikan kya samjhenge
hum diwane hain diwane bekar sabaq dete ho hamein
hum maut ke mani kiya jaanen hum dar-o-rasan kya samjhenge
kya dukh hai hamein kya gham hai hamein kyun jaen kisi se kahne ko
kaliyon ki jau izzat kar na sake wo dard-e-chaman kya samjhenge
kyun nahaq le kar baiTh gae gham-ha-e-musalsal ka qissa
wo dard ki qimat kya jaanen wo dil ki jalan kya samjhenge

Ghazal
Jo KHum par KHum chhalkate hain honTon ki thakan kya samjhenge
Mushtaq Naqvi