jo KHud ko paen to phir dusra talash karen
is ek hayat mein ab aur kya talash karen
sitara-go hai ye shab is ko ghaur se sun len
aur is ka din jo kahin kho gaya talash karen
hum apni baat ko diwar hi mein chunwa den
nazar shabih samaat sada talash karen
hai bab-e-jaan pe ruka aks-e-mehman aa kar
sar-e-wajud koi aaina talash karen
hawa mein zahr hai sahra ka ya samundar ka
ye ilm ho to koi badraqa talash karen
Ghazal
Jo KHud ko paen to phir dusra talash karen
Ali Akbar Abbas