jo KHayal the na qayas the wahi log mujh se bichhaD gae
jo mohabbaton ki asas the wahi log mujh se bichhaD gae
jinhen manta hi nahin ye dil wahi log mere hain ham-safar
mujhe har tarah se jo ras the wahi log mujh se bichhaD gae
mujhe lamha-bhar ki rafaqaton ke sarab aur sataenge
meri umr-bhar ki jo pyas the wahi log mujh se bichhaD gae
ye KHayal sare hain aarzi ye gulab sare hain kaghzi
gul-e-arzu ki jo bas the wahi log mujh se bichhaD gae
jinhen kar saka na qubul main wo sharik-e-rah-e-safar hue
jo meri talab meri aas the wahi log mujh se bichhaD gae
meri dhaDkanon ke qarib the meri chah the mera KHwab the
wo jo roz-o-shab mere pas the wahi log mujh se bichhaD gae
Ghazal
Jo KHayal the na qayas the wahi log mujhse bichhaD gae
Aitbar Sajid