jo KHat hai shikasta hai jo aks hai TuTa hai
ya husn tera jhuTa ya aaina jhuTa hai
hum shukr karen kis ka shaki hon to kis ke hun
rahzan ne bhi luTa hai rahbar ne bhi luTa hai
yaad aaya in aankhon ka paiman-e-wafa jab bhi
saghar mere hathon se be-saKHta chhuTa hai
har chehre pe likkha hai ek qissa-e-mazlumi
bedard zamane ne har shaKHs ko luTa hai
manzil ki tamanna mein sar-garm-e-safar hain sab
kaun us ke liye roe jo rah mein chhuTa hai
allah re 'hafiz' us ka ye zauq-e-KHud-arai
jab zulf sanwari hai ek aaina TuTa hai
Ghazal
Jo KHat hai shikasta hai jo aks hai TuTa hai
Hafeez Banarasi