jo kashmakash thi tera intizar karte hue
jhijak raha hun use aashkar karte hue
kasili dhup ki shiddat ko bhi nazar mein rakho
kisi daraKHt ko be-barg-o-bar karte hue
guzishta sal ki aafat kab KHayal mein thin
nashemanon ko supurd-e-bahaar karte hue
kisi ne apne gireban mein kya talash kiya
hamare raqs-e-wafa ka shumar karte hue
hawa ke panw bhi shal ho ke rah gae aksar
tere nagar ki fasilon ko par karte hue
yahi hua ki samundar ko pi ke baiTh gai
hamari naw safar iKHtiyar karte hue
usi ke waste 'sultan' be-qarar hain hum
jise qarar mile be-qarar karte hue
Ghazal
Jo kashmakash thi tera intizar karte hue
Sultan Nizami