jo karte the ulTa-sidha karte the
hum patthar pe dariya phenka karte the
is jangal ke peDon se main waqif hun
gir jate the jis par saya karte the
main basti mein titli pakDa karta tha
baqi sare log to jhagDa karte the
kuchh bachche sailabon mein bah jate hain
hum palkon se dariya roka karte the
jao koi tar-war nahin girta
hum hi chhat se jugnu phenka karte the
sab ruhen zehnon par kapDa rakhti thin
hum bas jismon ka hi parda karte the
rose mushahid rahte the hum sham talak
phir suraj ka matha chuma karte the
main us aag mein jism jala kar aaya tha
jis mein sare aankhen seka karte the
Ghazal
Jo karte the ulTa-sidha karte the
Nivesh Sahu