jo kal na tha wo aaj hai ai ham-shabih-e-man
ab is ka kya ilaj hai ai ham-shabih-e-man
aankhon mein ashk lab pe hansi tis pe be-hisi
ye kaisa imtizaj hai ai ham-shabih-e-man
hans ke milo har ek se jis haal mein milo
is shahr ka riwaj hai ai ham-shabih-e-man
dekha hai koi KHwab azizan-e-shahr ne
kai sal ka anaj hai ai ham-shabih-e-man
sab log mutmain hain koi be-kali nahin
ye kaun sa samaj hai ai ham-shabih-e-man
main ne kaha na tha ki yahan qadr-e-dil nahin
kyun is pe bad-mizaj hai ai ham-shabih-e-man
Ghazal
Jo kal na tha wo aaj hai ai ham-shabih-e-man
Midhat-ul-Akhtar