اردو हिंदी
Jo kaif-e-ishq se Khaali ho zindagi kiya hai | Shaahi Shayari
jo kaif-e-ishq se Khaali ho zindagi kiya hai

Ghazal

Jo kaif-e-ishq se Khaali ho zindagi kiya hai

Shaer Fatahpuri

;

jo kaif-e-ishq se KHali ho zindagi kiya hai
shaguftagi na mile jis mein wo kali kya hai

meri nigah mein hai un ka aariz-e-raushan
ye kahkashan ye sitare ye chandni kya hai

jamal-e-yar ki ranaiyon mein gum hai nazar
mujhe ye hosh kahan hai ki zindagi kya hai

uTha bhi jam ki duniya tere qadam chume
ye mai-kada hai yahan aish ki kami kya hai

tumhaari yaad mein baiThe hain dil ko bahlane
sanam-tarashi-o-zauq-e-musawwiri kya hai

nafas nafas pe ye ehsas-e-gham ye majburi
KHuda-gawah qayamat hai zindagi kya hai

nigah-e-shauq ke uThne ki der hai 'shair'
wo be-qarar na aae to baat hi kya hai