اردو हिंदी
Jo kaho tum so hai baja sahab | Shaahi Shayari
jo kaho tum so hai baja sahab

Ghazal

Jo kaho tum so hai baja sahab

Mir Taqi Mir

;

jo kaho tum so hai baja sahab
hum bure hi sahi bhala sahab

sada-zehni mein nukta-chin the tum
ab to hain harf-ashna sahab

na diya rahm Tuk buton ke tain
kya kiya hae ye KHuda sahab

bandagi ek apni kya kam hai
aur kuchh tum se kahiye kya sahab

mehr-afza hai munh tumhaara hi
kuchh ghazab to nahin hua sahab

KHat ke phaTne ka tum se kya shikwa
apne talea ka ye likha sahab

phir gain aankhen tum na aan phire
dekha tum ko bhi wah-wa sahab

shauq-e-ruKH yaad-e-lab gham-e-didar
ji mein kya kya mere raha sahab

bhul jaana nahin ghulam ka KHub
yaad KHatir rahe mera sahab

kin ne sun sher-e-'mir' ye na kaha
kahiyo phir hae kya kaha sahab