اردو हिंदी
Jo kaha tha tumhein suna bhi tha | Shaahi Shayari
jo kaha tha tumhein suna bhi tha

Ghazal

Jo kaha tha tumhein suna bhi tha

Aurangzeb

;

jo kaha tha tumhein suna bhi tha
aazmana nahin kaha bhi tha

mera milna nahin hua lekin
main to apni taraf gaya bhi tha

ishq hota hai manta hun main
mujh ko ek bar ye hua bhi tha

ye saza jo bhugat rahe ho tum
kya haqiqat mein kuchh kiya bhi tha

mere marne ka kya hua matlab
us ka matlab ki main jiya bhi tha

tum to zinda ho ab talak pyare
zahr ko Thik se piya bhi tha