jo jo shuur-e-zehn pe aata chala gaya
dil kulfaton ke dagh miTata chala gaya
la kar bahaar-e-nau ke gul-e-nudrat-e-KHayal
sahra ko main chaman sa banata chala gaya
allah ka ye fazl hai mujh pe ki bahr-e-ilm
kuze se mere dil mein samata chala gaya
alfaz ke guhar se ghazal ki zamin ko main
jaise falak-nazhad banta chala gaya
tar-e-nafas pe chheD ke ek naghma-e-hayat
main aagahi ke saz pe gata chala gaya
ulfat ki rah kar ke zamane pe aashkar
'ahsan' main KHar-e-rah haTata chala gaya
Ghazal
Jo jo shuur-e-zehn pe aata chala gaya
Ahsan Lakhnavi