jo jhuTlata raha hai zindagi ko
zara pahchan len us aadmi ko
ujale banTti phirti hai duniya
syahi se ulajhti raushni ko
azal se gunjta manzar hai hasti
sada do jism ki be-chehragi ko
na dekha tum ne saDkon se guzarte
bikharti sans leti zindagi ko
nahin mohlat ki main KHurshid deta
teri aankhon ki bujhti raushni ko
jo hai is shahr mein munkir suKHan ka
sunao ye ghazal 'saqib' usi ko

Ghazal
Jo jhuTlata raha hai zindagi ko
Meer Naqi Ali Khan Saqib