jo jal uThi hai shabistan mein yaad si kya hai
ye jhilmilahaTen kya hain ye raushni kya hai
kisi se tark-e-talluq ke baad bhi milna
bura zarur hai lekin kabhi kabhi kya hai
ab apne haal pe hum dhyan hi nahin dete
na jaane be-KHabari hai ki aagahi kya hai
yahi sawal nahin hai faqat ki hum kya hain
ye kaenat hai kya aur zindagi kya hai
hansi jo dekh rahe ho hamare honTon par
zaban-e-haal se ek chiKH hai hansi kya hai
'shuur' abhi se ye KHush-fahmiyan ye ummiden
abhi to sirf mulaqat hai abhi kya hai
Ghazal
Jo jal uThi hai shabistan mein yaad si kya hai
Anwar Shuoor