jo jahan ke aaina hain dil unhon ke sada hain
dil mein ja dene ko wo har ek ke aamada hain
qatl se aashiq ke tu ne ab to khai hai qasam
aaKHir ai qatil ye baaten pesh-pa-uftada hain
kal ke din jo gird mai-KHane ke phirte the KHarab
aaj masjid mein jo dekha sahab-e-sajjada hain
band mein mutlaq jo mujh ko KHatra-e-sayyaad ho
hun asir-e-dam par wazaen meri aazada hain
rah-paimayan-e-aqlim-e-adam se yaadgar
daman-e-sahra mein ab baqi nuqush-e-jada hain
chashm-e-saqi ke liye hain tegh-e-abru dosh par
lag na chal un se 'baqa' ye turk mast-e-baada hain
Ghazal
Jo jahan ke aaina hain dil unhon ke sada hain
Baqaullah u0027Baqau0027