jo ishq mein guzara lamha pasand aaya
aankhon mein bas gaya jo chehra pasand aaya
yun to safar kiya hai kitne hi raston par
lekin tere hi ghar ka rasta pasand aaya
meri nigah mein hai teri talash baqi
meri diwangi ko sahra pasand aaya
be-shak nibha na pae wada kiya jo tum ne
lekin sanam tumhaara wada pasand aaya
uThti hai is liye bhi teri taraf nigahen
tere hasin ruKH par chashma pasand aaya
ghusse mein lag rahi ho tum aur KHub-surat
dil ko bahut tumhaara naKHra pasand aaya
kuchh aur dekhne ki hasrat rahi na baqi
jab se sanam tumhaara chehra pasand aaya
ho jaegi mukammal ab to ghazal yaqin hai
tere hasin labon ka misra pasand aaya
be-shak bahut shikayat tujh ko hai is jahan se
phir bhi 'ahad' ye tera lahja pasand aaya
Ghazal
Jo ishq mein guzara lamha pasand aaya
Amit Ahad