jo is zamin pe rahte the aasman se log
kahan gae wo mere sare mehrban se log
ye be-charagh si basti ye be-sada galiyan
har ek samt ye ujDe hue makan se log
sar-e-nawishta-e-taqdir KHwab ki surat
likhe hain ret pe kuchh harf-e-raegan se log
ki ye asar to nahin un ki faqa-masti ka
phir aaj tang hue hain jo apni jaan se log
kuchh is mein hasb-e-zarurat kiye gae shamil
kuchh hum ne hazf kiye apni dastan se log
abhi na KHatm hua tha fasana-e-hasti
gurez karne lage apne darmiyan se log
paDi hai ret pe TuTi hui wo kashti-e-KHak
ki uD rahe hain hawaon mein baadban se log
tujhe to apni hi jaan ki paDi hui hai 'kamal'
guzar rahe hain yahan par kis imtihan se log
Ghazal
Jo is zamin pe rahte the aasman se log
Shahid Kamal