jo is tarah liye phirta hai jaan hatheli par
wo dekhna kabhi jaan se guzar hi jaega
KHayal hai koi uDta hua parind nahin
jahan bhi jaega be-baal-o-par hi jaega
ye aasman jo azal se siwa rahe mujh par
ye bojh bhi kahin sar se utar hi jaega
main us ka chahne wala hun koi ghair nahin
wo mere samne aa kar nikhar hi jaega
wo kab kahega ki main ne lagai thi ye aag
wo jab bhi samna hoga mukar hi jaega
khila hua hai nazar mein gul-e-KHayal koi
'KHalil' aankh jo jhapki bikhar hi jaega
Ghazal
Jo is tarah liye phirta hai jaan hatheli par
Khaleel Rampuri