jo is chaman mein ye gul sarw-o-yasman ke hain
ye jitne rang hain sab tere pairahan ke hain
ye sab karishma-e-arz-e-hunar usi ke hain
gulon mein naqsh tere hi lab-o-dahan ke hain
tabiaton mein ajab rang-e-ajnabiyyat hai
ye shah-pare to sab tere arz-e-fan ke hain
hawas mein ishq mein tahzib-e-tarbiyat ka hai farq
wagarna donon usi maktab-e-badan ke hain
hamein to la ke yahan par basa diya gaya hai
KHabar hai mulk-e-adam hum tere watan ke hain
amir-e-shahr tu apni qaba-e-zar ko bhi dekh
sab is mein tar mere reza-e-kafan ke hain
kahan akele meri KHwahishon ka dam nikla
nishan bhi us ke gale par meri ghuTan ke hain
KHud apne shahr ki tahzib bhul baiThe hain
ye kaun log hain aur jaane kaise ban ke hain
mere harif mera ehtiram karte hain
suKHan-waron mein bhi charche mere suKHan ke hain
Ghazal
Jo is chaman mein ye gul sarw-o-yasman ke hain
Shahid Kamal