jo insan baryab-e-parda-e-asrar ho jae
to is baatil-kade mein zindagi dushwar ho jae
ye duniya-e-wafa duniya-e-be-azar ho jae
mujhi par kyun na takmil-e-jafa-e-yar ho jae
jo zulmat mein bhi tanwir-e-haqiqat dekhna chahe
wo meri tarah pichhli raat se bedar ho jae
ghurur-e-husn bhi mere liye juzw-e-ada daere
mera ehsas bhi tere liye pindar ho jae
gham-e-pinhan se dam ghuTta hai ai 'simab' kya kahiye
KHuda aisa kare ye qabil-e-izhaar ho jae
Ghazal
Jo insan baryab-e-parda-e-asrar ho jae
Seemab Akbarabadi