jo huruf likh gaya tha meri aarzu ka bachpan
unhen dho sake na dil se meri zindagi ke sawan
wo jo din bikhar chuke hain wo jo KHwab mar chuke hain
main unhi ka hun mujawir mera dil unhi ka madfan
yahi ek aarzu thi ki mujhe koi pukare
so pukarti hai ab tak mujhe apne dil ki dhaDkan
koi TuTta sitara mujhe kash phir sada de
ki ye koh-o-dasht-o-sahra hain sukut-e-shab se raushan
teri manzil-e-wafa mein hua KHud se aashna main
teri yaad ka karam hai ki yahi hai dost dushman
tere ru-ba-ru hun lekin nahin ru-shanas tujh se
tujhe dekhne na degi tere dekhne ki uljhan
'zafar' aaj dil ka aalam hai ajab main kis se puchhun
wo saba kidhar se aai jo khila gai ye gulshan
Ghazal
Jo huruf likh gaya tha meri aarzu ka bachpan
Yusuf Zafar