jo hui so hui jaane do milo bismillah
jam-e-mai hath se lo mere piyo bismillah
muntazir aap ke aane ka kai din se hun
kya hai taKHir qadam-ranja karo bismillah
le chuke dil to phir ab kya hai sabab ranjish ka
ji bhi hazir hai jo lete ho to lo bismillah
main to hun kushta-e-abru-e-but-e-mushaf-e-ru
mu-qalam se mere turbat pe likho bismillah
zabah karna hi mujhe tum ko hai manzur agar
main bhi hazir hun meri jaan uTho bismillah
hote aazurda ho aane se hamare jo tum
KHush raho mat ho KHafa hum chale lo bismillah
ain rahat hai mujhe banda-nawaza is mein
qadam aankhon pe meri aa ke rakho bismillah
jin ki rahte ho shab-o-roz tum ab sohbat mein
jao ai jaan ab un ke hi raho bismillah
mast nikla hai mai-e-husn mein 'bedar' wo shoKH
dekhna gar na paDe kahte chalo bismillah
Ghazal
Jo hui so hui jaane do milo bismillah
Meer Mohammadi Bedar