jo hua 'jaun' wo hua bhi nahin
yani jo kuchh bhi tha wo tha bhi nahin
bas gaya jab wo shahr-e-dil mein mere
phir main is shahr mein raha bhi nahin
ek ajab taur haal hai ki jo hai
yani main bhi nahin KHuda bhi nahin
lamhon se ab muamla kya ho
dil pe ab kuchh guzar raha bhi nahin
jaaniye main chala gaya hun kahan
main to KHud se kahin gaya bhi nahin
tu mere dil mein aan ke bas ja
aur tu mere pas aa bhi nahin
Ghazal
Jo hua jaun wo hua bhi nahin
Jaun Eliya