jo honTon pe mohr-e-KHamoshi laga di
to mil kar nigahon ne tali baja di
kisi ke liye main pareshan nahin hun
raqibon ne jaane kahan ki uDa di
junun apni taqdir se khelta hai
miTai bana di banai miTa di
abhi nur o zulmat mein chalti rahegi
na wo is ke aadi na main us ka aadi
KHabar karwan ki na ho rahzanon ko
yahi soch kar main ne mishal bujha di
gulon ne jab ilzam rakkha KHizan par
to wo KHar ko dekh kar muskura di
tawaqqoa nahin thi 'muzaffar' se un ko
khari baat sun kar qayamat uTha di

Ghazal
Jo honTon pe mohr-e-KHamoshi laga di
Muzaffar Hanfi