اردو हिंदी
Jo hona hai wahi hota rahega | Shaahi Shayari
jo hona hai wahi hota rahega

Ghazal

Jo hona hai wahi hota rahega

Sayyad Ejaz Ahmad Rizwi

;

jo hona hai wahi hota rahega
kabhi hansta kabhi rota rahega

bacha koi mukafat-e-amal se
wahi kaTega jo bota rahega

kuchh apna hi bigaDega agar tu
bharam apna miyan khota rahega

tere aada nikal jaenge aage
agar tu raat-din sota rahega

tu apna bar-e-isyan kam se kam kar
kahan tak bojh ye Dhota rahega

koi had bhi hai aaKHir aansuon se
kahan tak apna munh dhota rahega

kahin tadbir se Talta hai 'rizwi'
likha taqdir ka hota rahega