jo ho sake to kabhi itni mehrbani kar
uDa ke KHak meri mujh ko aasmani kar
phir us ke baad KHuda jaane kab mayassar hon
ye chand lamhe mohabbat ke jawedani kar
ba-zor-e-tegh hukumat kiya nahin karte
jo ho sake to dilon par bhi hukmarani kar
ai raushni ke payambar ki ai naqib-e-nur
lahu se apne charaghon ki pasbani kar
main aaina hun na utre kahin tera chehra
na apne aap pe itra na lan-tarani kar
main chal paDa hun qadam se qadam mila mere
rafaqaton ke safar mein na aana-kani kar
hamare lams se paDti hai jaan murdon mein
hamare hath pe baiat ai zindagani kar
na maslahat ki taraazu mein taul lafzon ko
jo dil kahe wahi honTon se tarjumani kar
na yaad kar unhen aasif wo pal jo bit gae
yahin pe dard-bhari KHatm wo kahani kar
Ghazal
Jo ho sake to kabhi itni mehrbani kar
Iqbal Asif