jo ho sake to aap bhi kuchh kar dikhaiye
umr-e-aziz apni na yun hi ganwaiye
din ko ThiThurti dhup mein Tangen pasariye
raaton ko jag jag ke mahfil sajaiye
chae ke ek cup ka yahi hai muawza
yaron ko ahd-e-rafta ke qisse sunaiye
nam-o-numud ki ho agar aap ko hawas
jaise bhi ho kisi tarah bas chhupte jaiye
wo ajnabi bhi aashna ban jaega 'matin'
us ki gali ke roz hi chakkar lagaiye
Ghazal
Jo ho sake to aap bhi kuchh kar dikhaiye
Syed Fazlul Mateen