jo ho saka nahin darpesh use banata hua
main KHud bhi bit gaya raste banata hua
sanwar raha tha koi aaina-nashin jab main
figar-dast hua aaine banata hua
bana raha hun tujhe main ki ho meri takmil
sanwarta jata hun main KHud tujhe banata hua
wo ek shakl jo hai us ka markazi kirdar
ujaD gaya hai ye manzar use banata hua

Ghazal
Jo ho saka nahin darpesh use banata hua
Syed Kashif Raza