اردو हिंदी
Jo ho saka na mera usko bhul jaun main | Shaahi Shayari
jo ho saka na mera usko bhul jaun main

Ghazal

Jo ho saka na mera usko bhul jaun main

Anvar Mahmood Khalid

;

jo ho saka na mera us ko bhul jaun main
parai aag mein kyun ungliyan jalaun main

wo ab ke jae to phir lauT kar na aae kabhi
bhulae aise ki phir yaad bhi na aaun main

sukhi rahe wo sada apne ghar ke aangan mein
is ek dua ke liye hath ab uThaun main

nai ruton ke jhamele hon us ka zad-e-safar
shikast-e-arz-e-tamanna pe gungunaun main

uThae naz wahi jis ki wo amanat hai
na ruThe mujh se na ja kar use manaun main

wo roti aankhon kare chaak meri taswiren
ek ek kar ke sabhi us ke KHat jalaun main

uTha ke dekhe wo khiDki ke reshmi parde
to chahne pe bhi us ko nazar na aaun main

hawa ke hath bhi paigham wo agar bheje
KHayal ban ke bhi us ke nagar na jaun main

wo hadsat ki hiddat se jab pighalne lage
to chand ban ke KHunuk dil mein jagmagaun main