jo hawa hai surat-e-baad-e-muKHalif tez hai
dil ka maidan hai ki ek sahra-e-afat-KHez hai
mere saqi dam-ba-dam kyunkar bhara aae na dil
dur hun main aur saghar bazm mein labrez hai
dukh uThane ki bhi aaKHir hoti hai kuchh intiha
bulbul-e-dil ka mere naghma bhi dard-angez hai
aamad aamad hai KHizan ki kyun na roe andalib
gul abhi nau-kar hain sabza abhi nau-KHez hai
tere wahshi jate hain uftan-o-KHezan su-e-dasht
ho junun dekhe se aisi chaal wahshat-KHez hai
kyun na roen saikDon tufan uTThe chah mein
hum na waqif the ki bahr-e-ishq tufan-KHez hai
aab-e-KHanjar tu mila de to chhalak jae abhi
umr ka saghar yahan ek umr se labrez hai
us pe marta hun mere marne ki hai jis ko KHushi
aariza wo hai ki jis se maut ko parhez hai
tuKHm ulfat ka zamin-e-dil mein bona kya zarur
log kahte hain ki ye to KHud mohabbat-KHez hai
ho jahan mashuq wan aashiq bhi hota hai zarur
yan yun hi roz-e-azal se husn-o-ishq aamez hai
naza mein bhi matam-e-dil hai talash-e-yar hai
panw hain chaalak ab tak hath ab tak tez hai
kis takalluf se nibahi main ne ulfat aap ki
faKHr karta hun ki mera ishq husn-amez hai
kaT ke sar mera tum ne hath mein laTka diya
dekho ye meri wafadari ki dastawez hai
kar diya hai mast sare KHuftagan-e-KHak ko
kya hua shahr-e-KHamoshan ki nashat-angez hai
hai 'rashid' ab tak giyah-e-lucknow mardum giyah
kya zamin hai jo ujaD jaane pe mardum-KHez hai
Ghazal
Jo hawa hai surat-e-baad-e-muKhaalif tez hai
Rasheed lakhnavi

