jo hausla ho to halki hai dopahar ki dhup
tunak-mizajon ko lagti hai yun qamar ki dhup
mere junun-e-qadam ne baDa hi kaam kiya
jo gard-e-rah baDhi kam hui safar ki dhup
safa-e-shisha-e-ariz pe khul gai hai shafaq
jo un ke ruKH pe paDi hai meri nazar ki dhup
shab-e-visal ki ye sham bhi hai rashk-e-sahar
mahak mahak ke sarakti hai baam-o-dar ki dhup
bujhi to gauhar-e-mizhgan-e-yar mein chamki
KHusha-nasib meri umr-e-muKHtasar ki dhup
abhi se shikwa-e-hiddat abhi tapish ka gila
abhi to tere muqabil hui sahar ki dhup
'zahir' teri jabin kyun araq araq hai abhi
abhi to rah mein baqi hai dopahar ki dhup
Ghazal
Jo hausla ho to halki hai dopahar ki dhup
Zaheer Siddiqui