اردو हिंदी
Jo hasin husn-e-taghaful se guzar jata hai | Shaahi Shayari
jo hasin husn-e-taghaful se guzar jata hai

Ghazal

Jo hasin husn-e-taghaful se guzar jata hai

Jafar Abbas Safvi

;

jo hasin husn-e-taghaful se guzar jata hai
chahne walon ke wo dil se utar jata hai

jis taraf sehn-e-chaman se wo guzar jata hai
rang phulon ka kahin aur nikhar jata hai

aa bhi jao ki dua mang raha hun kab se
baat rah jati hai aur waqt guzar jata hai

umr-bhar karwaTen leta hai wo paikan-e-nazar
aankh ki rah se jo dil mein utar jata hai

mere kahne se zara zulf sanwaro to sahi
log kahte hain muqaddar bhi sanwar jata hai

bahr-e-gham mein teri yaadon ka sahaara le kar
gham ka tufan bhi mere sar se guzar jata hai

yak-ba-yak kaise bhula dun unhen 'jafar' dil se
jate jate hi mohabbat ka asar jata hai