jo har qadam pe andheron se laDne wale hain
hamare sath mohabbat ke wo ujale hain
wo jaante hain jo tariKH paDhne wale hain
hamin ne gardish-e-dauran ke bal nikale hain
banae phirte hain hum KHud ko KHush-libas magar
hamare ghar mein abhi makDiyon ke jale hain
KHulus-o-rabt-o-mohabbat jinhen mayassar hai
wo log kaun si duniya ke rahne wale hain
dayar-e-ghair mein tum kyun talash karte ho
hamare shahr mein kya ahl-e-fan ke lale hain
jinhen ye ahl-e-basirat sameT lae the
wo hadse kisi aashufta sar ne Tale hain
hazar daur-e-taraqqi ke baad bhi 'nusrat'
qadam qadam pe abhi 'mir' ke hawale hain

Ghazal
Jo har qadam pe andheron se laDne wale hain
Nusrat Siddiqui