jo hans hans ke har gham gawara kare hai
ye himmat bhi ek gham ka mara kare hai
kinara bhi jis se kinara kare hai
madad us ki tufan ka dhaara kare hai
jo dair-o-haram se kinara kare hai
har ek shai mein tera nazzara kare hai
paDa hai jo diwana teri gali mein
KHuda jaane kis ko pukara kare hai
tere sath hans kar guzari hai jis ne
wo ab aansuon par guzara kare hai
KHuda us ke daman ko phulon se bhar de
mujhe pattharon se jo mara kare hai
taghaful se chhupti nahin hai mohabbat
taghaful to aur aashkara kare hai
'shamim' us ne sahil pe mujh ko Duboya
jo Dube huon ko ubhaara kare hai

Ghazal
Jo hans hans ke har gham gawara kare hai
Shamim Jaipuri