jo hamare safar ka qissa hai
wo teri rahguzar ka qissa hai
subh tak KHatm ho hi jaega
zindagi raat bhar ka qissa hai
dil ki baaten zaban pe kyun lao
ghar mein rahne do ghar ka qissa hai
koi talwar kya bataegi
dosh ka aur sar ka qissa hai
hosh aa jae to sunaunga
chashm-e-diwana-gar ka qissa hai
chalte rahna to koi baat na thi
sirf samt-e-safar ka qissa hai
jite-ji KHatm ho nahin sakta
zindagi umr bhar ka qissa hai
sham ko hum sunaenge tum ko
shab-e-gham ki sahar ka qissa hai
tere naqsh-e-qadam ki baat nahin
sirf shams o qamar ka qissa hai
daman-e-KHushk lao phir sunna
ye meri chashm-e-tar ka qissa hai
chand tinke na the nasheman ke
bagh-o-shaKH-o-shajar ka qissa hai
halq mein chubh rahe hain kanTe se
lab pe gul-ha-e-tar ka qissa hai
meri barbaadiyon ka haal na puchh
ek nichi nazar ka qissa hai
usi bedad-gar se kah de 'saba'
usi bedad-gar ka qissa hai

Ghazal
Jo hamare safar ka qissa hai
Saba Akbarabadi