jo hum pe guzre the ranj sare jo KHud pe guzre to log samjhe
jab apni apni mohabbaton ke azab jhele to log samjhe
wo jin daraKHton ki chhanw mein se musafiron ko uTha diya tha
unhin daraKHton pe agle mausam jo phal na utre to log samjhe
us ek kachchi si umr wali ke falsafe ko koi na samjha
jab us ke kamre se lash nikli KHutut nikle to log samjhe
wo KHwab the hi chambeliyon se so sab ne hakim ki kar li baiat
phir ek chambeli ki oT mein se jo sanp nikle to log samjhe
wo ganw ka ek zaif dahqan saDak ke banne pe kyun KHafa tha
jab un ke bachche jo shahr jakar kabhi na lauTe to log samjhe
Ghazal
Jo hum pe guzre the ranj sare jo KHud pe guzre to log samjhe
Ahmad Salman