jo hum anjam par apni nazar ai baghban karte
chaman mein aag de dete qafas ko aashiyan karte
ajal kambaKHt aati hai nahin dar par tere warna
hum aisi maut par bhi zindagani ka guman karte
sahi ifsha-e-raaz-e-ishq lekin ye musibat hai
na karte sajda tere dar par aaKHir to kahan karte
hamein dair-o-haram mein qaid rakkha bad-nasibi ne
jahan sajde ki gunjaish na thi sajda wahan karte
uDa lati hawa jo kuchh KHas-o-KHashak-e-zindan mein
unhin tinkon pe hum apne nasheman ka guman karte
ye ai fikr-e-rihai kis bala mein hum ko la Dala
qafas mein dahke aazadi se zikr-e-ashiyan karte
Ghazal
Jo hum anjam par apni nazar ai baghban karte
Shaukat Thanvi