jo hum aae to botal kyun alag pir-e-mughan rakh di
purani dosti bhi taq par ai mehrban rakh di
qafas mein shaKH-e-gul sayyaad ne ai aasman rakh di
bana kar shaKH-e-gul han teri shaKH-e-kahkashan rakh di
ye kaisi aag bhar kar jam mein pir-e-mughan rakh di
jo toDi mehr-e-saghar se to kuchh uTha dhuan rakh di
zara chheDa jo us ne ho gai aisi za-KHud-rafta
ki sham-e-bazm ne gul-gir ke lab par zaban rakh di
KHuda ke hath hai bikna na bikna mai ka ai saqi
barabar masjid-e-jame ke hum ne ab dukan rakh di
chaman ka lutf aata hai mujhe sayyaad ke sadqe
qafas mein la ke us ne aaj shaKH-e-ashiyan rakh di
bina hai ek hi donon ki kaba ho ki but-KHana
uTha kar KHisht-e-KHum main ne wahan rakh di yahan rakh di
ye qais-o-kohkan ke se fasane ban gae kitne
kisi ne TukDe TukDe sab hamari dastan rakh di
tayyun se munazzah shoKHiyan hain us ke jalwe ki
hamari wusat-e-dil mein bana-e-la-makan rakh di
nazar muddat se thi ai shaiKH jis par mai-faroshon ki
wo dastar-e-fazilat rahin hum ne mehrban rakh di
ye kya tha jalwa un ka dekhna tha hum ko parde mein
laga kar aankh se hum ne jo taswir-e-butan rakh di
ye aalam hai 'riyaz' ek ek qatre ko tarasta hun
haram mein ab bhari botal KHuda jaane kahan rakh di
Ghazal
Jo hum aae to botal kyun alag pir-e-mughan rakh di
Riyaz Khairabadi