jo hain mazlum un ko to taDapta chhoD dete hain
ye kaisa shahr hai zalim ko zinda chhoD dete hain
ana ke sikke hote hain faqiron ki bhi jholi mein
jahan zillat mile us dar pe jaana chhoD dete hain
hua kaisa asar masum zehnon par ki bachchon ko
agar paise dikhao to khilauna chhoD dete hain
agar malum ho jae paDosi apna bhuka hai
to ghairat-mand hathon se niwala chhoD dete hain
mohazzab log bhi samjhe nahin qanun jangal ka
shikari sher bhi kawwon ka hissa chhoD dete hain
parindon ko bhi insan ki tarah hai fikr rozi ki
sahar hote hi apna aashiyana chhoD dete hain
tajjub kuchh nahin 'dana' jo bazar-e-siyasat mein
qalam bik jaen to sach baat likhna chhoD dete hain
Ghazal
Jo hain mazlum un ko to taDapta chhoD dete hain
Abbas Dana