اردو हिंदी
Jo hai yan aasaish-e-ranj-o-mehan mein mast hai | Shaahi Shayari
jo hai yan aasaish-e-ranj-o-mehan mein mast hai

Ghazal

Jo hai yan aasaish-e-ranj-o-mehan mein mast hai

Bahram ji

;

jo hai yan aasaish-e-ranj-o-mehan mein mast hai
kucha-e-jaanan mein hum hain qais ban mein mast hai

tere kuche mein hai qatil raqs-gah-e-ashiqan
koi ghaltan sar-ba-kaf koi kafan mein mast hai

mai-kade mein baada-kash but-KHane mein hain but-parast
jo hai aalam mein wo apni anjuman mein mast hai

nikhat-e-zulf-e-sanam se yan moattar hai dimagh
koi mushk-chin koi mushk-e-KHutan mein mast hai

hai koi mahw-e-namaz aur KHum-kade mein koi mast
dil mera ishq-e-butan-e-dil-shikan mein mast hai

hai musalman ko hamesha aab-e-zamzam ki talash
aur har ek barhaman gang-o-jaman mein mast hai

aks-e-ru-e-shama-ru hai mere dil mein ja-guzin
dil mera is aatish-e-lama-fagan mein mast hai

hai mera har sher-e-tar 'bahram' kaisa pur-asar
jis ko dekho majlis-e-ahl-e-suKHan mein mast hai