jo hai wo kyun hai aur jo nahin hai wo kyun nahin
ye jaan lun abhi mujhe aisa junun nahin
main kya hun aur kyun hun mujhe is se kya gharaz
is se bhi kya gharaz mujhe hun bhi ki hun nahin
main chahta hun maut jo aae meri taraf
main maut ko gale se laga lun marun nahin
jine ki aarzu mujhe le aai hai yahan
main warna ek pal bhi yahan par rahun nahin
jis par hai kaenat ka har raaz aashkar
wo kah raha hai han to main kaise kahun nahin
'momin-miyan' ye kaam nahin hai ye ishq hai
kya soch mein paDe ho karun ya karun nahin
Ghazal
Jo hai wo kyun hai aur jo nahin hai wo kyun nahin
abdurrahman momin