اردو हिंदी
Jo hai arsh par wahi farsh par koi KHas us ka makan nahin | Shaahi Shayari
jo hai arsh par wahi farsh par koi KHas us ka makan nahin

Ghazal

Jo hai arsh par wahi farsh par koi KHas us ka makan nahin

Qadr Bilgarami

;

jo hai arsh par wahi farsh par koi KHas us ka makan nahin
wo yahan bhi hai wo wahan bhi hai wo kahin nahin wo kahan nahin

ye nasib tere shahid ka ki kamal-e-shauq tha did ka
jo gila bhi hai to wo tar nahin jo chhuri bhi har to rawan nahin

main wo sarw-e-bagh-e-wajud hun main wo gul hun sham-e-hayat ka
jise fasl-e-gul ki KHushi nahin jise ranj-e-baad-e-KHizan nahin

jo uThe to sina ubhaar kar jo chale to Thokaren mar kar
nae aap hi to jawan hain koi kya jahan mein jawan nahin

kidhar uD gaya mera qafila ki zamin phaT ke sama gaya
na ghubar uTha na jaras baja kahin naqsh-e-pa ka nishan nahin

ye mai-e-farng ki kashtiyan bhi safina-ha-e-najat hain
kabhi us ka beDa na par ho jo murid-e-pir-e-mughan nahin

uTho 'qadr' un pe na jaan do aji jaan hai to jahan hai
koi kaam aisa bhi karta hai are miyan nahin are miyan nahin