اردو हिंदी
Jo guzre hai bar aashiq-e-kaamil nahin malum | Shaahi Shayari
jo guzre hai bar aashiq-e-kaamil nahin malum

Ghazal

Jo guzre hai bar aashiq-e-kaamil nahin malum

Shah Naseer

;

jo guzre hai bar aashiq-e-kaamil nahin malum
jibril hai har aan mein nazil nahin malum

kya parda-e-ghaflat hai kuchh ai dil nahin malum
rahta hai shab-o-roz wo nazil nahin malum

har dam yahi rahta hai yahan dil mein pas-o-pesh
jine ka ba-juz-marg kuchh hasil nahin malum

ruKH dekh ke hairan hun tera jun gul-e-KHurshid
chhuT tere mujhe koi muqabil nahin malum

baKHshish ye jo rakhta hai ba-kaf bahr hai kashti
kya jaaniye ye kis se hai sail nahin malum

be-thah ho kya bahr-e-haqiqat ka shanawar
jis ka kahin aaKHir lab-e-sahil nahin malum

kyun rahte hain nit rewDi ke phere mein aashiq
us ke lab-e-shirin pe kahin til nahin malum

jarrah ye kahta hai mujhe dekh ke be-dam
kis tegh-e-nigah ka hai ye ghael nahin malum

jun aaina hairat-zada yan dekhun hun sab ko
kya jaaniye kis par hun main mail nahin malum

chal chal ke rah-e-ishq mein jun naqsh-e-qadam hum
thak baiThe 'nasir' ab hamein manzil nahin malum