اردو हिंदी
Jo gaya yahan se isi makan mein aaega | Shaahi Shayari
jo gaya yahan se isi makan mein aaega

Ghazal

Jo gaya yahan se isi makan mein aaega

Musavvir Sabzwari

;

jo gaya yahan se isi makan mein aaega
tha sitara TuT ke aasaman mein aaega

kabhi KHwab sa kabhi KHushbuon ka hijab sa
baDi mushkilon se wo mere dhyan mein aaega

use sochna na samundaron ke dimagh se
wo guhar sadaf ke faqat guman mein aaega

nahin aa saka jo main gul-zaminon ke jashn tak
tu ghubar sa kisi sabz lawn mein aaega

abhi tar hain lab teri guftugu ki miThas se
tera zaiqa bhi meri zaban mein aaega

abhi peD ko kisi saKHt rut ka hai samna
agar uTh saka to baDi uThan mein aaega