jo gham ke shoalon se bujh gae the hum un ke daghon ka haar lae
kisi ke ghar se diya uThaya kisi ke daman ka tar lae
ye kohsaron ki tarbiyat hai ki apna KHema jama hua hai
hazar tufan sinan chalae hazar fauj-e-ghubar lae
kise bataen ki gham ke sahra ko KHuld-danish banaya kaise
kahan se aab-e-rawan ko moDa kahan se baad-e-bahaar lae
har ek rah-e-junun se guzre har ek manzil se kuchh uThaya
kahin se daman mein gham sameTa kahin se jholi mein pyar lae
KHala ke mathe pe ek bindi na jaane kab se chamak rahi thi
use bhi farq-e-zamin ki KHatir hawa mein uD kar utar lae
jo apni duniya basa chuka hai use bhi mushkil ka samna hai
kahan se shams-o-qamar ugae kahan se lail-o-nahaar lae
wahi shabahat wahi adaen magar wo lagta hai ghair jaisa
'naim' yaadon ki anjuman mein na jaane kis ko pukar lae
Ghazal
Jo gham ke shoalon se bujh gae the hum un ke daghon ka haar lae
Hasan Nayeem