jo gham-e-habib se dur the wo KHud apni aag mein jal gae
jo gham-e-habib ko pa gae wo ghamon se hans ke nikal gae
jo thake thake se the hausle wo shabab ban ke machal gae
jo nazar nazar se gale mili to bujhe charagh bhi jal gae
na KHizan mein hai koi tirgi na bahaar mein koi raushni
ye nazar nazar ke charagh hain kahin bujh gae kahin jal gae
gham-e-aish-o-yas-o-umid ka na asar hayat pe ho saka
meri ruh-e-ishq wahi rahi ye libas the jo badal gae
na hai 'shair' ab gham-e-nau-ba-nau na wo dagh-e-dil na wo tazgi
jinhen e'timad-e-bahaar tha wahi phul rang badal gae
Ghazal
Jo gham-e-habib se dur the wo KHud apni aag mein jal gae
Shaayar Lakhnavi