اردو हिंदी
Jo faqat shoKHi-e-tahrir bhi ho sakti hai | Shaahi Shayari
jo faqat shoKHi-e-tahrir bhi ho sakti hai

Ghazal

Jo faqat shoKHi-e-tahrir bhi ho sakti hai

Akhtar Shahjahanpuri

;

jo faqat shoKHi-e-tahrir bhi ho sakti hai
wo mere panw ki zanjir bhi ho sakti hai

sirf virana hi ghamgini ka bais to nahin
ahd-e-mazi ki wo taswir bhi ho sakti hai

chashm-e-hasrat se jo Tapki hai lahu ki ek bund
subh-e-ummid ki tanwir bhi ho sakti hai

ranj-o-gham Thokaren mayusi ghuTan be-zari
mere KHwabon ki ye tabir bhi ho sakti hai

bad-guman hai to wahi morid-e-ilzam ho kyun
kuchh na kuchh to meri taqsir bhi ho sakti hai

hosh qaem rahen tufan-e-hawadis mein agar
bach nikal jaane ki tadbir bhi ho sakti hai

tirgi baKHt ki samjho na use tum 'aKHtar'
multafit zulf-e-girah-gir bhi ho sakti hai