jo fan se fikr ki tadbir guftugu karegi
to gungi-bahri bhi taswir guftugu karegi
main jite-ji use aisa hunar sikha dunga
ki mere baad ye tahrir guftugu karegi
adalaton mein gawahi hamein mile na mile
hamare panw ki zanjir guftugu karegi
isi ummid pe aankhon ke KHwab zinda hain
ki ek din kawi tabir guftugu karegi
pighal hi jaega wo sang-dil kisi din jab
mere zaban ki tasir guftugu karegi
badan se kar ke badan ki samaaton ko dur
ye sans ruh se aaKHir guftugu karegi
Ghazal
Jo fan se fikr ki tadbir guftugu karegi
Faiz Khalilabadi