jo dur se hamein akasr KHuda sa lagta hai
wahi qarib se kuchh aashna sa lagta hai
kabhi hamari nigahon se dekh le us ko
phir us ke baad bata tujh ko kaisa lagta hai
tamam raat jale din ko sard-mehr bane
badan ka shahr bhi shahr-e-ana sa lagta hai
wo us ki sahmi si chahat jafa ki chilman mein
wo bewafa bhi hamein ba-wafa sa lagta hai
bikharte TuTte in zist ke makanon mein
wo ek makan hamein KHushnuma sa lagta hai
salib-o-dar pe chaDh kar hue hain la-fani
ye dast-e-marg bhi dast-e-dua sa lagta hai

Ghazal
Jo dur se hamein akasr KHuda sa lagta hai
Satya Nand Java